E-Sim Wiki
Advertisement

e-Sim main 4 tarhan ki markets hain jo "Market" menu main mil sakti hain:

  • Product market - Jo marzi khareed lo (Khana, Tohfay, Ghar aur baqi)
  • Job market - Nauqri dhoond lo
  • Monetary market - Khareedo ya becho currencies/gold
  • Companies market - Companies becho

Product Market - Overview[]

MarketPlace - expanded - How to

Product Market screen

  1. Product - Kis tarhan ka product
  2. Seller - Aik banda jo kuch beech rha hai
  3. Stock - Yeh cheez baichnay wala kitni tadaad main bech raha hai
  4. Price - Her tukra kitne main bech rha hai
  5. Buy - Jitni aik cheez khareedna chah rhay ho utni likh do
  6. Is button ko dabanay ke baad aap woh cheez khreed lain ge jo apnay enter ki thi number 5 main
  7. Quality - Uss cheez ki kefiyat jo aap khareedna chah rhay hain (sirf woh products jo kachay material se banai gai hen)
  8. Country - Jiss mulk ki market se aap khareedna chah rhay hain

Yaad rakhain: Apko uss mulk main jana ho ga jiss ki market se aap cheezain khareedna chah rhay hain, Ager aap mulk X ke aise subhay main hai jo uss se mulk Z ne cheen liya hai to phir aap mulk Z ki market se he cheezain khareed pain ge. Ager mulk X puri tarhan se apnay subhay kho chuka hai to aap uski market se cheezain le he nhi saktay

Job Market - Overview[]

Job Market - How to

Job Market screen

  1. Country - Jiss mulk main aap kaam kerna chahtay hain
  2. Economic Skill - Sabsay kam economic skill ki chahat
  3. Employer - Company ka malik jo nauqar dhoond rha hai
  4. Company - Uska naam aur tasweer jo nauqar dhoond rhi hai
  5. Product - Product jo woh company banati hai
  6. Minimal Skill - Jo skill apko chahiye hai woh job kernay ke liye
  7. Salary - Tankhwa jo apko roz milti hai nauqri kernay pe
  8. Apply - Apply-button daba ke woh nauqri kernay lag jain

Monetary Market - Overview[]

MonetaryMarket - How to

Monetary Market screen

  1. Abhi ke Offers Dekhain
  2. Apki Offers
  3. Buy currency - Jo currency chahiye hai woh khareedlo
  4. Sell currency - Jo currency chahiye hai woh bech do
  5. Seller - Admi jo currency bech rha hai
  6. Amount - Had-e-ghayaat currency jo bechnay wala bech sakta hai
  7. Ratio - Nisbat
  8. Offered currency - Currency jo aap bech rhay hain
  9. Buy currency - Currency jo aap khareedna chah rhay hain
  10. Exchange rate - Woh rate jis pe aap apni currency bechna chah rhay hain


Companies beqau ke liye - Overview[]

Companies for SALE How To

Companies For Sale screen

  1. Konsi tarhan ki company aap dhond rhay hain
  2. Country - Mulk jis me aap apni company banana chah rhay hain ya phir khareedna chah rhay hain
  3. Quality - Jiss kefiyat ke company aap khareedna chah rhay hain
  4. Company - Naam aur tasweer company ki jo biq rhi hai
  5. Product - Biqnay wali company kya banati hai
  6. Location - Subha jis main company bani hui hai
  7. Seller - Jo company ka malik hai
  8. Price - Jitne Sonah (Gold) ki company biq rhi hai

زمرہ:Economy

Advertisement